makr-o-ayyari ka daman chhoD de
makr-o-ayyārī kā dāman chhoḌ de
aql se ġhairat kā rishta joḌ de
zarf hai to moḌ le kuchh paañv aur
chhoTī chādar kī shikāyat chhoḌ de
jag-hañsā.ī ho na jaa.e phir kahīñ
be-sabab auroñ pe hañsnā chhoḌ de
zulm ko bardāsht karnā jurm hai
zālimāna fe.al kā dam toḌ de
dil ke donoñ harf hote haiñ judā
ho sake to TuuTe dil ko joḌ de
zehn ko shaffāf dil ko paak rakh
ā.inoñ se tū ulajhnā chhoḌ de
manzil-e-maqsūd paane ke liye
zindagī ko ik nayā sā moḌ de
makr-o-ayyari ka daman chhoD de
aql se ghairat ka rishta joD de
zarf hai to moD le kuchh panw aur
chhoTi chadar ki shikayat chhoD de
jag-hansai ho na jae phir kahin
be-sabab auron pe hansna chhoD de
zulm ko bardasht karna jurm hai
zalimana feal ka dam toD de
dil ke donon harf hote hain juda
ho sake to TuTe dil ko joD de
zehn ko shaffaf dil ko pak rakh
aainon se tu ulajhna chhoD de
manzil-e-maqsud pane ke liye
zindagi ko ek naya sa moD de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.