malal dil mein kisi dard ka nahin rakhna
malāl dil meñ kisī dard kā nahīñ rakhnā
koī burā jo kahe dil burā nahīñ rakhnā
ye dushmanī to bahut fāsle baḌhā degī
hamāre baa'd kisī se gila nahīñ rakhnā
hamāre dost hameñ bad-gumān kar deñge
ab iltifāt bahut barmalā nahīñ rakhnā
ye nasl-e-nau to hamīñ se javāz māñgegī
so iḳhtilāf ko had se sivā nahīñ rakhnā
tumhāre paas faqat aaj hai mire logo
kisī bhī kaam ko kal pe uThā nahīñ rakhnā
ham ājizī se mileñ tarbiyat hamārī hai
unheñ ġhurūr salām-o-duā nahīñ rakhnā
mileñ zarūr magar faisle ke baa'd 'ġhazal'
ki rabt aap se rakhnā hai yā nahīñ rakhnā
malal dil mein kisi dard ka nahin rakhna
koi bura jo kahe dil bura nahin rakhna
ye dushmani to bahut fasle baDha degi
hamare ba'd kisi se gila nahin rakhna
hamare dost hamein bad-guman kar denge
ab iltifat bahut barmala nahin rakhna
ye nasl-e-nau to hamin se jawaz mangegi
so iKHtilaf ko had se siwa nahin rakhna
tumhaare pas faqat aaj hai mere logo
kisi bhi kaam ko kal pe uTha nahin rakhna
hum aajizi se milen tarbiyat hamari hai
unhen ghurur salam-o-dua nahin rakhna
milen zarur magar faisle ke ba'd 'ghazal'
ki rabt aap se rakhna hai ya nahin rakhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.