malal hai meri fikron ke aas-pas abhi
malāl hai mirī fikroñ ke ās-pās abhī
udaas rahne de ai dil mujhe udaas abhī
mujhe to saare zamāne kī fikr karnī hai
tumhīñ to ho mirā ā.īna-e-qayās abhī
vo kaise koī shikāyat zabān par laa.eñ
jinhoñ ne dekh liyā hai tumheñ udaas abhī
hamāre baad kahāñ aasrā milā us ko
taḌap rahī hai ġham-o-dard kī asaas abhī
chipak gayā thā achānak laboñ se aa ke mire
sharāb jaisā mahaktā huā gilās abhī
diloñ ke fāsle kahte haiñ maiñ kahūñ na kahūñ
koī bhī shaḳhs nahīñ hai kisī ke paas abhī
mire aziiz na ro.eñ abhī sar-e-bālīñ
ki hai mujhī ko mirī zindagī kī aas abhī
bañdhāne aa.ī thī shāyad hazār ummīdeñ
tumhārī yaad jo aa.ī thī mere paas abhī
abhī kahāñ sitam-o-jaur meñ kamī 'manzil'
kahāñ huā hai na.e daur kā vikās abhī
malal hai meri fikron ke aas-pas abhi
udas rahne de ai dil mujhe udas abhi
mujhe to sare zamane ki fikr karni hai
tumhin to ho mera aaina-e-qayas abhi
wo kaise koi shikayat zaban par laen
jinhon ne dekh liya hai tumhein udas abhi
hamare baad kahan aasra mila us ko
taDap rahi hai gham-o-dard ki asas abhi
chipak gaya tha achanak labon se aa ke mere
sharab jaisa mahakta hua gilas abhi
dilon ke fasle kahte hain main kahun na kahun
koi bhi shaKHs nahin hai kisi ke pas abhi
mere aziz na roen abhi sar-e-baalin
ki hai mujhi ko meri zindagi ki aas abhi
bandhane aai thi shayad hazar ummiden
tumhaari yaad jo aai thi mere pas abhi
abhi kahan sitam-o-jaur mein kami 'manzil'
kahan hua hai nae daur ka wikas abhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.