malal hote hue dil pe kuchh malal nahin
malal hote hue dil pe kuchh malal nahin
Syed Mohammad Zafar, Ashk Sanbhali
MORE BYSyed Mohammad Zafar, Ashk Sanbhali
malāl hote hue dil pe kuchh malāl nahīñ
ḳhayāl-e-dost se achchhā koī ḳhayāl nahīñ
jise zavāl na ho vo koī kamāl nahīñ
kamāl-e-ġham ko hamāre magar zavāl nahīñ
jafā.eñ kar ke jo vo sust sust baiThe haiñ
unheñ malāl ye hai mujh ko kuchh malāl nahīñ
ye kyā nahīñ nigah-e-fitna-sāz terī kamī
hamāre jazba-e-ġham meñ ab ishti.āl nahīñ
kaho ġhamoñ se ki be-fikr ab diloñ meñ raheñ
ḳhushī kā aaj kī duniyā meñ ehtimāl nahīñ
ye aur baat taras hī na ho kisī dil meñ
chhupā huā to zamāne se merā haal nahīñ
girī jo barq to apnā banā rahā hai mujhe
ye kyā hai 'ashk' agar bāġhbāñ kī chaal nahīñ
malal hote hue dil pe kuchh malal nahin
KHayal-e-dost se achchha koi KHayal nahin
jise zawal na ho wo koi kamal nahin
kamal-e-gham ko hamare magar zawal nahin
jafaen kar ke jo wo sust sust baiThe hain
unhen malal ye hai mujh ko kuchh malal nahin
ye kya nahin nigah-e-fitna-saz teri kami
hamare jazba-e-gham mein ab ishtial nahin
kaho ghamon se ki be-fikr ab dilon mein rahen
KHushi ka aaj ki duniya mein ehtimal nahin
ye aur baat taras hi na ho kisi dil mein
chhupa hua to zamane se mera haal nahin
giri jo barq to apna bana raha hai mujhe
ye kya hai 'ashk' agar baghban ki chaal nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.