malte hain hath, hath lagenge anar kab
malte haiñ hāth, haath lageñge anaar kab
joban kā un ke dekhiye hogā ubhār kab
ushshāq muntazir haiñ qayāmat kab aa.egī
be-parda muñh dikhā.egā vo parda-dār kab
ik roz apnī jaan pe ham khel jā.eñge
tum pūchhte rahoge yūñhī baar baar kab
bekas ko kaun ro.e ġharīboñ kā kaun hai
merī lahad pe sham.a huī ashk-bār kab
kaun aayā paḌhte fātiha kis ne chaḌhā.e phuul
marne ke ba.ad pūchhtā hai koī yaar kab
ummīd nā-umīd ko un se nahīñ rahī
dushman ke dost haiñ vo hue mere yaar kab
jo ūñche ūñche haiñ vahī jaate haiñ baam par
mahfil meñ ham ġharīboñ ko miltā hai yaar kab
jab naqd maal tū ne diyā ham ne naqd-e-dil
saaqī hameñ batā de ki pī thī udhār kab
milnā chhuḌāyā tum se mirā rashk-e-ġhair ne
kartā hai koī aap se jabr iḳhtiyār kab
'āġhā' ko zab.h karte ho apnī galī meñ kyuuñ
jaa.ez hai merī jaan haram meñ shikār kab
malte hain hath, hath lagenge anar kab
joban ka un ke dekhiye hoga ubhaar kab
ushshaq muntazir hain qayamat kab aaegi
be-parda munh dikhaega wo parda-dar kab
ek roz apni jaan pe hum khel jaenge
tum puchhte rahoge yunhi bar bar kab
bekas ko kaun roe gharibon ka kaun hai
meri lahad pe shama hui ashk-bar kab
kaun aaya paDhte fatiha kis ne chaDhae phul
marne ke baad puchhta hai koi yar kab
ummid na-umid ko un se nahin rahi
dushman ke dost hain wo hue mere yar kab
jo unche unche hain wahi jate hain baam par
mahfil mein hum gharibon ko milta hai yar kab
jab naqd mal tu ne diya hum ne naqd-e-dil
saqi hamein bata de ki pi thi udhaar kab
milna chhuDaya tum se mera rashk-e-ghair ne
karta hai koi aap se jabr iKHtiyar kab
'agha' ko zabh karte ho apni gali mein kyun
jaez hai meri jaan haram mein shikar kab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.