man ke sagar mein koi tufan uThao
man ke sāgar meñ koī tūfān uThāo
kaisā sannāTā hai ik patthar to pheñko
aadmī hai reza-reza kyoñ na pūchho
infi.āl-e-āgahī bhī kaash dekho
band kamre ke darīchoñ ko to kholo
vaqt ke sūraj kī kirnoñ ko na roko
rāsta merā zamāne se alag hai
tum raqīb apnā mujhe bhī kyoñ samajh lo
tanz ke patthar na pheñko merī jānib
ḳhalvat-e-dil meñ bhī merī aa ke jhāñko
aa.e Takrā kar jo sar koh-e-girāñ se
us ko baḌh kar phir samundar meñ Dubo do
man ke sagar mein koi tufan uThao
kaisa sannaTa hai ek patthar to phenko
aadmi hai reza-reza kyon na puchho
infial-e-agahi bhi kash dekho
band kamre ke darichon ko to kholo
waqt ke suraj ki kirnon ko na roko
rasta mera zamane se alag hai
tum raqib apna mujhe bhi kyon samajh lo
tanz ke patthar na phenko meri jaanib
KHalwat-e-dil mein bhi meri aa ke jhanko
aae Takra kar jo sar koh-e-giran se
us ko baDh kar phir samundar mein Dubo do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.