man-mauji hai ek Dagar mein rahta hai
man-maujī hai ek Dagar meñ rahtā hai
dil kā dariyā roz safar meñ rahtā hai
ek patañg uḌtī hai merī soch meñ roz
Dor liye vo pas-manzar meñ rahtā hai
kaun lakīreñ khīñch rahā hai āñgan meñ
kaun hai jo is ḳhālī ghar meñ rahtā hai
roz maiñ in galiyoñ kī ḳhair manātī huuñ
roz ik sho.ala-ḳhez ḳhabar meñ rahtā hai
kab tak maiñ ghar ke darvāze band karūñ
ḳhauf ye kaisā bām-o-dar meñ rahtā hai
chunte the shahtūt kabhī un rastoñ meñ
ab pīpal kā peḌ nazar meñ rahtā hai
man-mauji hai ek Dagar mein rahta hai
dil ka dariya roz safar mein rahta hai
ek patang uDti hai meri soch mein roz
Dor liye wo pas-manzar mein rahta hai
kaun lakiren khinch raha hai aangan mein
kaun hai jo is KHali ghar mein rahta hai
roz main in galiyon ki KHair manati hun
roz ek shoala-KHez KHabar mein rahta hai
kab tak main ghar ke darwaze band karun
KHauf ye kaisa baam-o-dar mein rahta hai
chunte the shahtut kabhi un raston mein
ab pipal ka peD nazar mein rahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.