mana kar jashn apni bebasi ka
manā kar jashn apnī bebasī kā
uḌātā huuñ tamasḳhur zindagī kā
lahū keī chhīñT har dīvār par thī
lagā ilzām phir bhī ḳhud-kushī kā
ḳhudā sab ko banāte jā rahe ho
tamāsha kar rahe ho bandagī kā
mirī saf se jo aage keī safeñ haiñ
numāyāñ fāsla hai muflisī kā
chalā kar piiTh par ḳhanjar ye kis ne
kiyā hai naam rusvā dushmanī kā
na jaane raah ke jo pech-o-ḳham ko
use ohda milā hai rahbarī kā
chalo mahtāb le aa.eñ kahīñ se
baḌhā jaatā hai saayā tīrgī kā
vo daulat ilm keī 'arqam' hai jis ko
kabhī ḳhadsha nahīñ hai rahzanī kā
mana kar jashn apni bebasi ka
uData hun tamasKHur zindagi ka
lahu kei chhinT har diwar par thi
laga ilzam phir bhi KHud-kushi ka
KHuda sab ko banate ja rahe ho
tamasha kar rahe ho bandagi ka
meri saf se jo aage kei safen hain
numayan fasla hai muflisi ka
chala kar piTh par KHanjar ye kis ne
kiya hai nam ruswa dushmani ka
na jaane rah ke jo pech-o-KHam ko
use ohda mila hai rahbari ka
chalo mahtab le aaen kahin se
baDha jata hai saya tirgi ka
wo daulat ilm kei 'arqam' hai jis ko
kabhi KHadsha nahin hai rahzani ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.