manata hun magar waise hi bas ruThe hue se hain
manata hun magar waise hi bas ruThe hue se hain
Zaki Tariq Barabankavi
MORE BYZaki Tariq Barabankavi
manātā huuñ magar vaise hī bas rūThe hue se haiñ
vo shāyad tark-e-ulfat kī qasam khaa.e hue se haiñ
tumhāre hijr ke sadmoñ ne hālat ye banā dī hai
na ham so.e hue se haiñ na ham jaage hue se haiñ
bas itne se samajh lo kū-e-jānāñ ke fazā.el tum
guloñ ke misl hī kāñTe vahāñ mahke hue se haiñ
ai mere sabr zindabād ai merī pyaas zindabād
jo paimāne ki ḳhālī the vo sab chhalke hue se haiñ
mirī parvāz pahle jaisī rif.at kyoñ nahīñ paatī
zarā dekho to kuchh par kyā mire katre hue se haiñ
ba-zāhir aur ba-bātin meñ yahī ik farq hai sāhib
vo mere saath meñ to haiñ magar bichhḌe hue se haiñ
tire dil meñ bhī kyā chāhat ke narm ehsās jaag uTThe
tire andāz āḳhir aaj kyoñ badle hue se haiñ
zarūr un se junūñ-bar-dosh dīvāne ga.e hoñge
pahāḌoñ aur chaTTānoñ pe jo raste hue se haiñ
manata hun magar waise hi bas ruThe hue se hain
wo shayad tark-e-ulfat ki qasam khae hue se hain
tumhaare hijr ke sadmon ne haalat ye bana di hai
na hum soe hue se hain na hum jage hue se hain
bas itne se samajh lo ku-e-jaanan ke fazael tum
gulon ke misl hi kanTe wahan mahke hue se hain
ai mere sabr zindabaad ai meri pyas zindabaad
jo paimane ki KHali the wo sab chhalke hue se hain
meri parwaz pahle jaisi rifat kyon nahin pati
zara dekho to kuchh par kya mere katre hue se hain
ba-zahir aur ba-baatin mein yahi ek farq hai sahib
wo mere sath mein to hain magar bichhDe hue se hain
tere dil mein bhi kya chahat ke narm ehsas jag uTThe
tere andaz aaKHir aaj kyon badle hue se hain
zarur un se junun-bar-dosh diwane gae honge
pahaDon aur chaTTanon pe jo raste hue se hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.