manate rahiye matam zindagi ka
manāte rahiye mātam zindagī kā
nayā andāz hai ye ḳhud-kushī kā
kabhī thāmā thā dāman shā.erī kā
vahī ab ban gayā janjāl jī kā
yahāñ charchā bahut hai raushnī kā
ujālā hai magar kuchh phīkā phīkā
bhaTakte phir rahe haiñ kitne misre
kisī se rabt to baiThe kisī kā
ye kaisā daur aaya uTh gayā hai
bharosa aadmī se aadmī kā
manate rahiye matam zindagi ka
naya andaz hai ye KHud-kushi ka
kabhi thama tha daman shaeri ka
wahi ab ban gaya janjal ji ka
yahan charcha bahut hai raushni ka
ujala hai magar kuchh phika phika
bhaTakte phir rahe hain kitne misre
kisi se rabt to baiThe kisi ka
ye kaisa daur aaya uTh gaya hai
bharosa aadmi se aadmi ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.