manazir hasin hain jo rahon mein meri
manāzir hasīñ haiñ jo rāhoñ meñ merī
tumheñ DhūñDte haiñ vo bāñhoñ meñ merī
unheñ kyā ḳhabar mujh meñ rach se ga.e ho
bichhaḌ kar bhī mujh se ho aahoñ meñ merī
ajab be-ḳhudī aap hī aap chhā.e
tirā naam aa.e jo aahoñ meñ merī
har ik sū hai raunaq ḳhayāloñ se tere
abhī bhī mahak terī bāñhoñ meñ merī
mire saath bhī ho mire ham-qadam bhī
nahīñ sirf ho tum nigāhoñ meñ merī
manazir hasin hain jo rahon mein meri
tumhein DhunDte hain wo banhon mein meri
unhen kya KHabar mujh mein rach se gae ho
bichhaD kar bhi mujh se ho aahon mein meri
ajab be-KHudi aap hi aap chhae
tera nam aae jo aahon mein meri
har ek su hai raunaq KHayalon se tere
abhi bhi mahak teri banhon mein meri
mere sath bhi ho mere ham-qadam bhi
nahin sirf ho tum nigahon mein meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.