manazir mein naya ek husn ayan hota
manāzir meñ nayā ik husn ayaañ hotā
fasurda-pā se lamhoñ kā bayāñ hotā
magar hote na jo ik yaad ke jugnū
asāsa hast-e-shab kā kyā yahāñ hotā
lahū Thahre matā-e-hast-e-sad-atvār
lahū se yuuñ bhī raushan-tar jahāñ hotā
kise batlā.eñ aisī taaza sī ḳhvāhish
tasalsul se dukhoñ hī kā samāñ hotā
idhar uktāhaTeñ haiñ nau-ba-nau maa.il
hameñ jiine ko tāroñ kā jahāñ hotā
manazir mein naya ek husn ayan hota
fasurda-pa se lamhon ka bayan hota
magar hote na jo ek yaad ke jugnu
asasa hast-e-shab ka kya yahan hota
lahu Thahre mata-e-hast-e-sad-atwar
lahu se yun bhi raushan-tar jahan hota
kise batlaen aisi taza si KHwahish
tasalsul se dukhon hi ka saman hota
idhar uktahaTen hain nau-ba-nau mail
hamein jine ko taron ka jahan hota
- Book : Pakistani Adab (Pg. 473)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.