mandi mein mahnga saman sanbhaale hum
mandī meñ mahñgā sāmān sañbhāle ham
baiThe haiñ dil meñ armān sañbhāle ham
āñkhoñ meñ sailāb kī gardish jaarī hai
aur siine meñ haiñ tūfān sañbhāle ham
hoñToñ par muskān sajā.e baiThe haiñ
kitne hoñToñ kī muskān sañbhāle ham
ulfat ke bāzār meñ bechī bīnā.ī
lauTe haiñ phir bhī nuqsān sañbhāle ham
qasr mubārak ho tum ko ye ḳhushiyoñ kā
achchhe se haiñ dil vīrān sañbhāle ham
majbūrī hī bāzīgar kī himmat hai
rassī par chalte haiñ dhyān sañbhāle ham
matlab kī is duniyā meñ bhī jiite haiñ
jaise taise apnī jaan sañbhāle ham
zard hue pattoñ kī qismat kyā āḳhir
Tuut ga.e shāḳhoñ kā maan sañbhāle ham
us ke kūche meñ har shaḳhs ḳhudā thā so
lauT aa.e apne ausān sañbhāle ham
mazlūmoñ kī chīḳheñ sunte haiñ 'āzād'
bahroñ kī bastī meñ kaan sañbhāle ham
mandi mein mahnga saman sanbhaale hum
baiThe hain dil mein arman sanbhaale hum
aankhon mein sailab ki gardish jari hai
aur sine mein hain tufan sanbhaale hum
honTon par muskan sajae baiThe hain
kitne honTon ki muskan sanbhaale hum
ulfat ke bazar mein bechi binai
lauTe hain phir bhi nuqsan sanbhaale hum
qasr mubarak ho tum ko ye KHushiyon ka
achchhe se hain dil viran sanbhaale hum
majburi hi bazigar ki himmat hai
rassi par chalte hain dhyan sanbhaale hum
matlab ki is duniya mein bhi jite hain
jaise taise apni jaan sanbhaale hum
zard hue patton ki qismat kya aaKHir
Tut gae shaKHon ka man sanbhaale hum
us ke kuche mein har shaKHs KHuda tha so
lauT aae apne ausan sanbhaale hum
mazlumon ki chiKHen sunte hain 'azad'
bahron ki basti mein kan sanbhaale hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.