mandiron ki suno ishq ghanshyam hai
mandiron ki suno ishq ghanshyam hai
Tahreem Amanullah Bukhari
MORE BYTahreem Amanullah Bukhari
mandiroñ kī suno ishq ghanshyām hai
dev-dāsī kī āñkhoñ meñ ik raam hai
hādim-e-vaqt jab phāvDā suuñt le
us ko phir kyā ḳhabar sabz hai chaam hai
maiñ ne sub.hoñ kī aamad pe nazmeñ kahīñ
aur chīḳheñ sunīñ shaam hai shaam hai
sāñvarī se kaho chūḌiyāñ toḌ le
ḳhvāb hai qaam hai aur phir saam hai
mandiron ki suno ishq ghanshyam hai
dew-dasi ki aankhon mein ek ram hai
hadim-e-waqt jab phawDa sunt le
us ko phir kya KHabar sabz hai cham hai
main ne subhon ki aamad pe nazmen kahin
aur chiKHen sunin sham hai sham hai
sanwari se kaho chuDiyan toD le
KHwab hai qam hai aur phir sam hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.