manjdhaar mein la kar nayya bhi manjhi ko Dubote dekha hai
manjdhaar mein la kar nayya bhi manjhi ko Dubote dekha hai
Musarrat Jabeen Zeba
MORE BYMusarrat Jabeen Zeba
mañjdhār meñ lā kar nayyā bhī māñjhī ko Dubote dekhā hai
lamhoñ ke darīda dāman meñ barsoñ ko samote dekhā hai
kuchh log jahāñ meñ aise haiñ shīshe kā jigar jo rakhte haiñ
patthar ke gharoñ meñ rahte haiñ unheñ kis ne rote dekhā hai
kuchh āñkheñ aisī hotī haiñ jo har dam hañstī rahtī haiñ
bharpūr tabassum ke pīchhe dil ḳhuun bhī hote dekhā hai
'zebā' hue ham to dīvāne rone ke alāva rātoñ ko
be-nūr sitāro tum hī kaho kabhī ham ko sote dekhā hai
manjdhaar mein la kar nayya bhi manjhi ko Dubote dekha hai
lamhon ke darida daman mein barson ko samote dekha hai
kuchh log jahan mein aise hain shishe ka jigar jo rakhte hain
patthar ke gharon mein rahte hain unhen kis ne rote dekha hai
kuchh aankhen aisi hoti hain jo har dam hansti rahti hain
bharpur tabassum ke pichhe dil KHun bhi hote dekha hai
'zeba' hue hum to diwane rone ke alawa raaton ko
be-nur sitaro tum hi kaho kabhi hum ko sote dekha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.