mannat-guzar dida-e-giryan na tha kabhi
mannat-guzār dīda-e-giryāñ na thā kabhī
ye dil marīz-e-jalva-e-jānāñ na thā kabhī
us ko bhī thā hujūm-e-tajallī se ehtiyāt
maiñ bhī harīs-e-lutf-e-charāġhāñ na thā kabhī
chupke se aaj vo bhī tah-e-ḳhāk so ga.e
jin ko ḳhayāl-e-gor-e-ġharībāñ na thā kabhī
jo mo'atabar huā hai nigāh-e-jamāl meñ
mahv-e-tavāf-e-sham-e-farozāñ na thā kabhī
ai be-charāġh suunī havelī ke bāsiyo
kyā tum ko ḳhauf-e-gardish-e-daurāñ na thā kabhī
kyoñ kam huā hai kūcha-e-qātil meñ e.atibār
kyā maiñ asīr-e-gesū-e-ḳhūbāñ na thā kabhī
nūr-e-hirā ke faiz se pahle to ai hayāt
irfān-e-zāt kā tujhe irfāñ na thā kabhī
simTā huā huuñ sharm se mahshar kī bhiiḌ meñ
dil meñ ḳhayāl-e-daftar-e-isyāñ na thā kabhī
rakkhī mire zamīr ne āb-e-anā kī laaj
maiñ zer-e-bār-e-ḳhvāja-o-sultāñ na thā kabhī
'bazmī' tumhāre daur kī millat-faroshiyāñ
itnā to be-zamīr musalmāñ na thā kabhī
mannat-guzar dida-e-giryan na tha kabhi
ye dil mariz-e-jalwa-e-jaanan na tha kabhi
us ko bhi tha hujum-e-tajalli se ehtiyat
main bhi haris-e-lutf-e-charaghan na tha kabhi
chupke se aaj wo bhi tah-e-KHak so gae
jin ko KHayal-e-gor-e-ghariban na tha kabhi
jo mo'atabar hua hai nigah-e-jamal mein
mahw-e-tawaf-e-sham-e-farozan na tha kabhi
ai be-charagh suni haweli ke basiyo
kya tum ko KHauf-e-gardish-e-dauran na tha kabhi
kyon kam hua hai kucha-e-qatil mein eatibar
kya main asir-e-gesu-e-KHuban na tha kabhi
nur-e-hira ke faiz se pahle to ai hayat
irfan-e-zat ka tujhe irfan na tha kabhi
simTa hua hun sharm se mahshar ki bhiD mein
dil mein KHayal-e-daftar-e-isyan na tha kabhi
rakkhi mere zamir ne aab-e-ana ki laj
main zer-e-bar-e-KHwaja-o-sultan na tha kabhi
'bazmi' tumhaare daur ki millat-faroshiyan
itna to be-zamir musalman na tha kabhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.