mansab-e-ishq ka KHayal rahe
mansab-e-ishq kā ḳhayāl rahe
zaḳhm kā silsila bahāl rahe
ye bhī fursat na thī ki dam letā
yuuñ ta.āqub meñ māh-o-sāl rahe
ham sar-e-ā.ina rahe jab tak
sūrat-e-ashk infi.āl rahe
apne a.asāb mujtam.a rakhnā
dasht-e-ġham hai zarā ḳhayāl rahe
tāb-e-guftār jab mayassar hai
zer-e-lab kyoñ koī savāl rahe
merī āñkheñ raheñ raheñ na raheñ
tū rahe aur tirā jamāl rahe
misl-e-bīnā.ī merī āñkhoñ meñ
umr bhar us ke ḳhadd-o-ḳhāl rahe
mansab-e-ishq ka KHayal rahe
zaKHm ka silsila bahaal rahe
ye bhi fursat na thi ki dam leta
yun taaqub mein mah-o-sal rahe
hum sar-e-aina rahe jab tak
surat-e-ashk infial rahe
apne aasab mujtama rakhna
dasht-e-gham hai zara KHayal rahe
tab-e-guftar jab mayassar hai
zer-e-lab kyon koi sawal rahe
meri aankhen rahen rahen na rahen
tu rahe aur tera jamal rahe
misl-e-binai meri aankhon mein
umr bhar us ke KHadd-o-KHal rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.