mansab ki fikr hai na hamein mal-o-jah ki
mansab ki fikr hai na hamein mal-o-jah ki
Nawab Umrao Bahadur Diler
MORE BYNawab Umrao Bahadur Diler
mansab kī fikr hai na hameñ māl-o-jāh kī
shāhī se kuchh ġharaz hai na parvā hai shaah kī
jis samt ko huzūr ne tirchhī nigāh kī
das biis kyā hazāroñ kī hālat tabāh kī
jannat meñ jā ke ham ne jo rone se raah kī
vaa.iz batā ye baat bhī kyā hai gunāh kī
ġhairoñ se tark kījiye yak-laḳht irtibāt
sūrat yahī hai aap ke mere nibāh kī
vaa.iz tumhāre vasf-e-sharāb-e-tahūr par
aatī hai botaloñ se sadā qāh-qāh kī
hoñ bāda-kash sharīk agar hāl-qāl meñ
raunaq ho ḳhuub shaiḳh tirī ḳhānqāh kī
shāne kā ruup bhar dil-e-sad-chāk ne mire
sau pech se hai kūcha-e-gesū meñ raah kī
jo chāho jaur-o-zulm-o-sitam tum yahāñ karo
koī sunegā kuchh to vahāñ dād-ḳhvāh kī
itnā samajh lo tum ki ḳhudā ḳhud aliim hai
hājat mujhe na hogī buto kuchh gavāh kī
kyā sher dhūm-dhām ke likhte haiñ ai 'diler'
aatī hai har taraf se sadā vaah vaah kī
mansab ki fikr hai na hamein mal-o-jah ki
shahi se kuchh gharaz hai na parwa hai shah ki
jis samt ko huzur ne tirchhi nigah ki
das bis kya hazaron ki haalat tabah ki
jannat mein ja ke hum ne jo rone se rah ki
waiz bata ye baat bhi kya hai gunah ki
ghairon se tark kijiye yak-laKHt irtibaat
surat yahi hai aap ke mere nibah ki
waiz tumhaare wasf-e-sharab-e-tahur par
aati hai botalon se sada qah-qah ki
hon baada-kash sharik agar haal-qal mein
raunaq ho KHub shaiKH teri KHanqah ki
shane ka rup bhar dil-e-sad-chaak ne mere
sau pech se hai kucha-e-gesu mein rah ki
jo chaho jaur-o-zulm-o-sitam tum yahan karo
koi sunega kuchh to wahan dad-KHwah ki
itna samajh lo tum ki KHuda KHud alim hai
hajat mujhe na hogi buto kuchh gawah ki
kya sher dhum-dham ke likhte hain ai 'diler'
aati hai har taraf se sada wah wah ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.