mansab se mohabbat ki subuk-dosh hua main
mansab se mohabbat kī subuk-dosh huā maiñ
āvāz lagāte raho ḳhāmosh huā maiñ
is baar vo sho'la na.e andāz se bhaḌkā
ik aan meñ sau-bār siyah-posh huā maiñ
īmān kā fuqdān to pahle kī tarah thā
ik nā'ra-e-takbīr se pur-josh huā maiñ
kuchh naqs thā tauba meñ usī kī to huā ye
yaad aa gayā yak-laḳht farāmosh huā maiñ
is baar tire jism kī ḳhushbū hī alag thī
patthar huā jaatā thā ham-āġhosh huā maiñ
isrār thā ai’lān-e-mohabbat pe sabhī ko
is darja baḌhā shor girāñ-gosh huā maiñ
mansab se mohabbat ki subuk-dosh hua main
aawaz lagate raho KHamosh hua main
is bar wo sho'la nae andaz se bhaDka
ek aan mein sau-bar siyah-posh hua main
iman ka fuqdan to pahle ki tarah tha
ek na'ra-e-takbir se pur-josh hua main
kuchh naqs tha tauba mein usi ki to hua ye
yaad aa gaya yak-laKHt faramosh hua main
is bar tere jism ki KHushbu hi alag thi
patthar hua jata tha ham-aghosh hua main
israr tha ai’lan-e-mohabbat pe sabhi ko
is darja baDha shor giran-gosh hua main
- Book : Aakhiri Ishq Sabse Pahle Kiya (Pg. 123)
- Author : Nomaan Shauque
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.