manzar-e-aKHir-e-shab yaad aaya
manzar-e-āḳhir-e-shab yaad aaya
uTh ke jaanā tirā jab yaad aaya
vaqt-e-āḳhir thā lagī thī hichkī
apnā va.ada unheñ kab yaad aaya
zaḳhm kyoñ dekh rahe ho dil ke
kyā mudāvā tumheñ ab yaad aaya
phir koī fitna uThegā shāyad
be-sabab maiñ unheñ kab yaad aaya
us ne phir yaad kiyā hai 'mohsin'
dil dhaḌakne kā sabab yaad aaya
manzar-e-aKHir-e-shab yaad aaya
uTh ke jaana tera jab yaad aaya
waqt-e-aKHir tha lagi thi hichki
apna wada unhen kab yaad aaya
zaKHm kyon dekh rahe ho dil ke
kya mudawa tumhein ab yaad aaya
phir koi fitna uThega shayad
be-sabab main unhen kab yaad aaya
us ne phir yaad kiya hai 'mohsin'
dil dhaDakne ka sabab yaad aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.