manzar-e-chashm jo pur-ab hua jata hai
manzar-e-chashm jo pur-āb huā jaatā hai
chaman-e-dil mirā shādāb huā jaatā hai
vahī qatra jo kabhī kunj-e-sar-e-chashm meñ thā
ab jo phailā hai to sailāb huā jaatā hai
ek ehsās thā jo ġham se dabā rahtā thā
sāz-e-ġham kā vahī mizrāb huā jaatā hai
us kī palkoñ pe jo chamkā thā sitāra koī
dekhte dekhte mahtāb huā jaatā hai
vo jo shīrīñ-dahan is shahr meñ aayā hai mire
us kā bolā huā shahdāb huā jaatā hai
mujh ko ma.alūm hai girdāb-e-nazar kā dhokā
jo bhī ahmaq hai vo betāb huā jaatā hai
manzar-e-chashm jo pur-ab hua jata hai
chaman-e-dil mera shadab hua jata hai
wahi qatra jo kabhi kunj-e-sar-e-chashm mein tha
ab jo phaila hai to sailab hua jata hai
ek ehsas tha jo gham se daba rahta tha
saz-e-gham ka wahi mizrab hua jata hai
us ki palkon pe jo chamka tha sitara koi
dekhte dekhte mahtab hua jata hai
wo jo shirin-dahan is shahr mein aaya hai mere
us ka bola hua shahdab hua jata hai
mujh ko malum hai girdab-e-nazar ka dhoka
jo bhi ahmaq hai wo betab hua jata hai
- Book : maazii ka aainda
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.