manzar-e-hijr aisa chubha rah gaya
manzar-e-hijr aisā chubhā rah gayā
apnī āñkhoñ ko maiñ nochtā rah gayā
koī ġham rahnumā.ī ko aaya nahīñ
ek aañsū bhaTaktā huā rah gayā
bahte bahte nadī tham ga.ī ashk kī
ek chehra magar tairtā rah gayā
bose nadiyoñ ke bhī kaam aa.e nahīñ
pyaas se lab sulagtā huā rah gayā
us ne hāthoñ ko jhaTkā mire is tarah
apne hāthoñ ko maiñ chūmtā rah gayā
phuul ne kar liyā tai safar miil kā
aur patthar lahū thūktā rah gayā
ham ne nazroñ meñ ḳhud beḌiyāñ Daal diiñ
ek jalva hameñ khīñchtā rah gayā
is qarīne se kuchlā gayā merā dil
naqsh har aah par naqsh-e-pā rah gayā
ḳhūn-e-dil par mire us kā dil aa gayā
haath maltā vo rang-e-hinā rah gayā
jaane tahrīr kyā kah ga.ī jo qalam
ungliyoñ ko mirī chūmtā rah gayā
dastakeñ de ke chaltī banī ḳhāmushī
dar mirā raat bhar boltā rah gayā
aa ke āñkhoñ meñ aTkī rahī merī jaañ
aur maiñ rāsta dekhtā rah gayā
vo parī-zād thī haath aa.ī nahīñ
aur 'shahbāz' par mārtā rah gayā
manzar-e-hijr aisa chubha rah gaya
apni aankhon ko main nochta rah gaya
koi gham rahnumai ko aaya nahin
ek aansu bhaTakta hua rah gaya
bahte bahte nadi tham gai ashk ki
ek chehra magar tairta rah gaya
bose nadiyon ke bhi kaam aae nahin
pyas se lab sulagta hua rah gaya
us ne hathon ko jhaTka mere is tarah
apne hathon ko main chumta rah gaya
phul ne kar liya tai safar mil ka
aur patthar lahu thukta rah gaya
hum ne nazron mein KHud beDiyan Dal din
ek jalwa hamein khinchta rah gaya
is qarine se kuchla gaya mera dil
naqsh har aah par naqsh-e-pa rah gaya
KHun-e-dil par mere us ka dil aa gaya
hath malta wo rang-e-hina rah gaya
jaane tahrir kya kah gai jo qalam
ungliyon ko meri chumta rah gaya
dastaken de ke chalti bani KHamushi
dar mera raat bhar bolta rah gaya
aa ke aankhon mein aTki rahi meri jaan
aur main rasta dekhta rah gaya
wo pari-zad thi hath aai nahin
aur 'shahbaz' par marta rah gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.