manzar-e-KHema-e-shab dekhne wala hoga
manzar-e-ḳhema-e-shab dekhne vaalā hogā
vo charāġhoñ ko bujhā.egā ujālā hogā
sharbatī āñkhoñ meñ kājal vo lagā.egā abhī
raat kā rañg abhī aur bhī kaalā hogā
mujh ko Thahre hue sāhil se nahīñ thī ummīd
mujh ko bahte hue paanī ne sambhālā hogā
aaj phir us ne hathelī ko chhupāyā maañ se
aaj phir haath meñ ujrat nahīñ chhālā hogā
zindagī palkeñ bichhā de ki baḌī mushkil se
maut ne tere liye vaqt nikālā hogā
manzar-e-KHema-e-shab dekhne wala hoga
wo charaghon ko bujhaega ujala hoga
sharbati aankhon mein kajal wo lagaega abhi
raat ka rang abhi aur bhi kala hoga
mujh ko Thahre hue sahil se nahin thi ummid
mujh ko bahte hue pani ne sambhaala hoga
aaj phir us ne hatheli ko chhupaya man se
aaj phir hath mein ujrat nahin chhaala hoga
zindagi palken bichha de ki baDi mushkil se
maut ne tere liye waqt nikala hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.