manzar-e-subh-e-bahaaran nahin dekha jata
manzar-e-sub.h-e-bahārāñ nahīñ dekhā jaatā
chāk-dāmān-e-gulistāñ nahīñ dekhā jaatā
al-madad josh-e-junūñ jazba-e-vahshat fariyād
mujh se ab ḳhvāb-e-pareshāñ nahīñ dekhā jaatā
naġhma-sanjān-e-chaman mohar-ba-lab aaj bhī haiñ
ye samāñ vaqt-e-bahārāñ nahīñ dekhā jaatā
bāġhbāñ maiñ nahīñ kahtā ki hai kāñToñ kā qusūr
tujh se har gul kā garebāñ nahīñ dekhā jaatā
har nazar yaas meñ Duubī nahīñ dekhī jaatī
har-nafas sho.ala-ba-dāmāñ nahīñ dekhā jaatā
dekh saktā to huuñ badle hue hālāt magar
hāl-e-barbādī-e-insāñ nahīñ dekhā jaatā
manzar-e-subh-e-bahaaran nahin dekha jata
chaak-daman-e-gulistan nahin dekha jata
al-madad josh-e-junun jazba-e-wahshat fariyaad
mujh se ab KHwab-e-pareshan nahin dekha jata
naghma-sanjaan-e-chaman mohar-ba-lab aaj bhi hain
ye saman waqt-e-bahaaran nahin dekha jata
baghban main nahin kahta ki hai kanTon ka qusur
tujh se har gul ka gareban nahin dekha jata
har nazar yas mein Dubi nahin dekhi jati
har-nafas shoala-ba-daman nahin dekha jata
dekh sakta to hun badle hue haalat magar
haal-e-barbaadi-e-insan nahin dekha jata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.