manzar kai barish se zamin par utar aae
manzar ka.ī bārish se zamīñ par utar aa.e
peḌoñ kī tarah logoñ ke chehre nikhar aa.e
mohkam na zamīñ se ho ta.alluq hī jaḌoñ kā
us peḌ pe aa.e bhī to kaise samar aa.e
paspā.ī nahīñ hai to hai pachhtāvā yaqīnan
ham log jo manzil se bhī aage guzar aa.e
shāyad kisī mahrūmī kā iz.hār huā hai
mazmūn mohabbat ke jo sheroñ meñ dhar aa.e
maḳhlūq samajh baiThe na is ko koī tairāk
jo sat.h pe paanī kī kabhī laash ubhar aa.e
ho kar nazar-andāz jiyā kab 'valī' terā
kahnā vo sarāpā-e-tajassus agar aa.e
manzar kai barish se zamin par utar aae
peDon ki tarah logon ke chehre nikhar aae
mohkam na zamin se ho talluq hi jaDon ka
us peD pe aae bhi to kaise samar aae
paspai nahin hai to hai pachhtawa yaqinan
hum log jo manzil se bhi aage guzar aae
shayad kisi mahrumi ka izhaar hua hai
mazmun mohabbat ke jo sheron mein dhar aae
maKHluq samajh baiThe na is ko koi tairak
jo sath pe pani ki kabhi lash ubhar aae
ho kar nazar-andaz jiya kab 'wali' tera
kahna wo sarapa-e-tajassus agar aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.