manzar ke sath sath badalne laga hun main
manzar ke sath sath badalne laga hun main
Ahmad Iftikhar khatak
MORE BYAhmad Iftikhar khatak
manzar ke saath saath badalne lagā huuñ maiñ
raushan hue charāġh to jalne lagā huuñ maiñ
pau phūTne meñ vaqt hai jaanā hai mujh ko duur
sūraj se pahle ghar se nikalne lagā huuñ maiñ
hairat ne merī aañkh meñ ik ḳhvāb rakh diyā
chashm-e-sitāra-sāz meñ khulne lagā huuñ maiñ
merā kamāl dekhiye is dhūp-dasht maiñ
ik aa.ine kā jism ujalne lagā huuñ maiñ
manzil hī merī aur hai rasta bhī hai judā
kyoñ kārvāñ ke saath nikalne lagā huuñ maiñ
ab baaġh meñ qayām se karnā nahīñ gurez
ḳhushbū ke etakāf ko chalne lagā huuñ maiñ
manzar ke sath sath badalne laga hun main
raushan hue charagh to jalne laga hun main
pau phuTne mein waqt hai jaana hai mujh ko dur
suraj se pahle ghar se nikalne laga hun main
hairat ne meri aankh mein ek KHwab rakh diya
chashm-e-sitara-saz mein khulne laga hun main
mera kamal dekhiye is dhup-dasht main
ek aaine ka jism ujalne laga hun main
manzil hi meri aur hai rasta bhi hai juda
kyon karwan ke sath nikalne laga hun main
ab bagh mein qayam se karna nahin gurez
KHushbu ke etakaf ko chalne laga hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.