manzar kisi gharib ka aankhon mein rah gaya
manzar kisī ġharīb kā āñkhoñ meñ rah gayā
aañsū mire nasīb kā āñkhoñ meñ rah gayā
ḳhālī makāñ meñ raushnī bhī jhāñktī nahīñ
ik naqsh-e-pā habīb kā āñkhoñ meñ rah gayā
sachche bashar ko DhūñD ke laa.eñ kahāñ se ham
saaya sā ik salīb kā āñkhoñ meñ rah gayā
TukḌoñ meñ zaat dhajjiyoñ meñ baT ga.ī hayāt
har ḳhvāb ik adiib kā āñkhoñ meñ rah gayā
manzar kisi gharib ka aankhon mein rah gaya
aansu mere nasib ka aankhon mein rah gaya
KHali makan mein raushni bhi jhankti nahin
ek naqsh-e-pa habib ka aankhon mein rah gaya
sachche bashar ko DhunD ke laen kahan se hum
saya sa ek salib ka aankhon mein rah gaya
TukDon mein zat dhajjiyon mein baT gai hayat
har KHwab ek adib ka aankhon mein rah gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.