manzar sameT lae hain jo tere ganw ke
manzar sameT laa.e haiñ jo tere gaañv ke
nīñdeñ churā rahe haiñ vo jhoñke havāoñ ke
terī galī se chāñd ziyāda hasīñ nahīñ
kahte sune ga.e haiñ musāfir ḳhalāoñ ke
pal bhar ko terī yaad meñ dhaḌkā thā dil mirā
ab duur tak bhañvar se paḌe haiñ sadāoñ ke
dād-e-safar milī hai kise rāh-e-shauq meñ
ham ne miTā diye haiñ nishāñ apne paañv ke
jab tak na koī aas thī ye pyaas bhī na thī
bechain kar ga.e hameñ saa.e ghaTāoñ ke
ham ne liyā hai jab bhī kisī rāhzan kā naam
chehre utar utar ga.e kuchh rahnumāoñ ke
uglegā āftāb kuchh aisī balā kī dhuup
rah jā.eñge zamīn pe kuchh daaġh chhāñv ke
manzar sameT lae hain jo tere ganw ke
ninden chura rahe hain wo jhonke hawaon ke
teri gali se chand ziyaada hasin nahin
kahte sune gae hain musafir KHalaon ke
pal bhar ko teri yaad mein dhaDka tha dil mera
ab dur tak bhanwar se paDe hain sadaon ke
dad-e-safar mili hai kise rah-e-shauq mein
hum ne miTa diye hain nishan apne panw ke
jab tak na koi aas thi ye pyas bhi na thi
bechain kar gae hamein sae ghaTaon ke
hum ne liya hai jab bhi kisi rahzan ka nam
chehre utar utar gae kuchh rahnumaon ke
uglega aaftab kuchh aisi bala ki dhup
rah jaenge zamin pe kuchh dagh chhanw ke
- Book : Dastavez (Pg. 68)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.