Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

manzar tamam aaj tak aankhon pe bojh hain

Najma Shaheen Khosa

manzar tamam aaj tak aankhon pe bojh hain

Najma Shaheen Khosa

MORE BYNajma Shaheen Khosa

    manzar tamām aaj tak āñkhoñ pe bojh haiñ

    jitne bhī ḳhvāb haiñ mirī palkoñ pe bojh haiñ

    utregā chāñd to mirī bhar aa.egī ye aañkh

    taare falak se TuuT ke rātoñ pe bojh haiñ

    sochoñ pe naqsh haiñ vo jo pal the visāl ke

    dukh hijr ke tamām lamhoñ pe bojh haiñ

    bāteñ us ek yaad bātoñ husn haiñ

    yādeñ us ek yaad yādoñ pe bojh haiñ

    'najma' kahīñ bhī jhuuT jin par gumān ho

    aise tamām lafz sheroñ pe bojh haiñ

    manzar tamam aaj tak aankhon pe bojh hain

    jitne bhi KHwab hain meri palkon pe bojh hain

    utrega chand to meri bhar aaegi ye aankh

    tare falak se TuT ke raaton pe bojh hain

    sochon pe naqsh hain wo jo pal the visal ke

    dukh hijr ke tamam hi lamhon pe bojh hain

    baaten us ek yaad ki baaton ka husn hain

    yaaden us ek yaad ki yaadon pe bojh hain

    'najma' kahin bhi jhuT ka jin par guman ho

    aise tamam lafz hi sheron pe bojh hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now