manzar ye apni aankh mein kaisa utar gaya
manzar ye apnī aañkh meñ kaisā utar gayā
shīshe kī samt dekhā to shīsha bikhar gayā
ik ḳhvāb thā jo mujh se bayāñ ho nahīñ sakā
ik rañg thā jo dhuup se Takrā ke mar gayā
aisā huā ki niiñd bhī rasta bhaTak ga.ī
sūraj bhī jaltī aañkh meñ sab dhuup bhar gayā
kaisī ye raat hai ki havā bhī laraz uThī
kaisī ye raushnī ki sitāra bhī Dar gayā
pathrā ga.e haiñ phuul se ma.asūm log bhī
bastī pe apnī kaun sā mausam guzar gayā
manzar ye apni aankh mein kaisa utar gaya
shishe ki samt dekha to shisha bikhar gaya
ek KHwab tha jo mujh se bayan ho nahin saka
ek rang tha jo dhup se Takra ke mar gaya
aisa hua ki nind bhi rasta bhaTak gai
suraj bhi jalti aankh mein sab dhup bhar gaya
kaisi ye raat hai ki hawa bhi laraz uThi
kaisi ye raushni ki sitara bhi Dar gaya
pathra gae hain phul se masum log bhi
basti pe apni kaun sa mausam guzar gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.