manzil dikha ke rahrawi saunp di gai
manzil dikhā ke rāhravī sauñp dī ga.ī
ya.anī ki ġham milā ke ḳhushī sauñp dī ga.ī
bantā hī jā rahā thā anā kā savāl vo
achchhā huā jo us kī kamī sauñp dī ga.ī
baad az firāq aur hī manzar ayaañ hue
aañsū piye to ḳhuub hañsī sauñp dī ga.ī
duniyā ko mere dil se charāġhāñ kiyā gayā
had hai mujhī ko tīra-shabī sauñp dī ga.ī
ai yaar dekh vo to baḌe ḳhush-nasīb the
jin kī nazar ko diid tirī sauñp dī ga.ī
mere junūñ ko de ke safar koh-e-qāf kā
ik aur shaḳhs ko vo parī sauñp dī ga.ī
ye dūriyoñ kī baat to bachchoñ sī baat thī
juuñ hī javān ho ke palī sauñp dī ga.ī
dard-e-shab-e-firāq sadā un kī ḳhair ho
jin ko pilā ke tishna-labī sauñp dī ga.ī
ham log jo baḌoñ ke muḳhālif the is liye
be-faiz daur jhūTī sadī sauñp dī ga.ī
nā-mumkināt meñ thī koī chāhat-e-nihāñ
paḌhne lagā jo nād-e-alī sauñp dī ga.ī
merī hayāt jaise kisī thal kī garmiyāñ
us bevafā ko sair mirī sauñp dī ga.ī
'e.ajāz' kal darāz se nikle ka.ī ḳhutūt
rāhat sī ek dard-bharī sauñp dī ga.ī
manzil dikha ke rahrawi saunp di gai
yani ki gham mila ke KHushi saunp di gai
banta hi ja raha tha ana ka sawal wo
achchha hua jo us ki kami saunp di gai
baad az firaq aur hi manzar ayan hue
aansu piye to KHub hansi saunp di gai
duniya ko mere dil se charaghan kiya gaya
had hai mujhi ko tira-shabi saunp di gai
ai yar dekh wo to baDe KHush-nasib the
jin ki nazar ko did teri saunp di gai
mere junun ko de ke safar koh-e-qaf ka
ek aur shaKHs ko wo pari saunp di gai
ye duriyon ki baat to bachchon si baat thi
jun hi jawan ho ke pali saunp di gai
dard-e-shab-e-firaq sada un ki KHair ho
jin ko pila ke tishna-labi saunp di gai
hum log jo baDon ke muKHalif the is liye
be-faiz daur jhuTi sadi saunp di gai
na-mumkinat mein thi koi chahat-e-nihan
paDhne laga jo nad-e-ali saunp di gai
meri hayat jaise kisi thal ki garmiyan
us bewafa ko sair meri saunp di gai
'eajaz' kal daraaz se nikle kai KHutut
rahat si ek dard-bhari saunp di gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.