manzil dikhai de na koi rasta mujhe
manzil dikhā.ī de na koī rāsta mujhe
le aa.e haiñ kahāñ pe mire rahnumā mujhe
ai vaqt phir se denā zarā aa.ina mujhe
hairat se tak rahā hai jahān-e-vafā mujhe
shikva rahā kisī se na koī gila mujhe
tum mil ga.e to saarā jahāñ mil gayā mujhe
maiñ so chalā thā apne takabbur kī chhāñv meñ
achchhā huā jo aap ne chauñkā diyā mujhe
kaise karūñ maiñ dil se judā ab matā’-e-ġham
le de ke ik usī kā to hai aasrā mujhe
duniyā meñ har qadam pe nigāhoñ kī bhiiḌ thī
rah rah ke yaad aayā tirā dekhnā mujhe
ik pyaar kī nazar se yūñhī dekh kar 'kañval'
phir ġham se kar gayā hai koī āshnā mujhe
manzil dikhai de na koi rasta mujhe
le aae hain kahan pe mere rahnuma mujhe
ai waqt phir se dena zara aaina mujhe
hairat se tak raha hai jahan-e-wafa mujhe
shikwa raha kisi se na koi gila mujhe
tum mil gae to sara jahan mil gaya mujhe
main so chala tha apne takabbur ki chhanw mein
achchha hua jo aap ne chaunka diya mujhe
kaise karun main dil se juda ab mata’-e-gham
le de ke ek usi ka to hai aasra mujhe
duniya mein har qadam pe nigahon ki bhiD thi
rah rah ke yaad aaya tera dekhna mujhe
ek pyar ki nazar se yunhi dekh kar 'kanwal'
phir gham se kar gaya hai koi aashna mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.