manzil-e-ishq mein din raat badal jate hain
manzil-e-ishq meñ din raat badal jaate haiñ
dil badal jaatā hai jazbāt badal jaate haiñ
apnī hastī se jab insān guzar jaatā hai
daf.atan saare maqāmāt badal jaate haiñ
chashm-e-sāqī kā ik adnā sā ishāra hai bahut
zindagī bhar ke ḳhayālāt badal jaate haiñ
dil pe furqat meñ guzartī hai na jaane kyā kyā
tere aa jaane se hālāt badal jaate haiñ
toḌ de parda ki ab maut bhī be-parda huī
aisī hālat meñ hijābāt badal jaate haiñ
jalva-e-sub.h se hotī haiñ umangeñ paidā
shaam aatī hai to jazbāt badal jaate haiñ
saañs ke saath hī rahtī hai javābāt kī aas
dam ukhaḌte hī savālāt badal jaate haiñ
sehr hai yā koī fitna hai ye kyā hai 'ejāz'
āñkhoñ āñkhoñ meñ ishārāt badal jaate haiñ
manzil-e-ishq mein din raat badal jate hain
dil badal jata hai jazbaat badal jate hain
apni hasti se jab insan guzar jata hai
dafatan sare maqamat badal jate hain
chashm-e-saqi ka ek adna sa ishaara hai bahut
zindagi bhar ke KHayalat badal jate hain
dil pe furqat mein guzarti hai na jaane kya kya
tere aa jaane se haalat badal jate hain
toD de parda ki ab maut bhi be-parda hui
aisi haalat mein hijabaat badal jate hain
jalwa-e-subh se hoti hain umangen paida
sham aati hai to jazbaat badal jate hain
sans ke sath hi rahti hai jawabaat ki aas
dam ukhaDte hi sawalat badal jate hain
sehr hai ya koi fitna hai ye kya hai 'ejaz'
aankhon aankhon mein ishaaraat badal jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.