manzil-e-karb ki thakan oDhe
manzil-e-karb kī thakan oḌhe
so ga.e soḳhta badan oḌhe
bārgāh-e-junūn-o-vahshat meñ
ḳhāmushī hai koī suḳhan oḌhe
bād-e-sarsar qabā-e-shabnam oḌh
ḳhushbū-e-gul hai bāñkpan oḌhe
raat ke saa.e meñ lab-e-dariyā
chāñd vahshat kā ik gahan oḌhe
sabz mausam kī ḳhvāb-gāhoñ meñ
zard patte haiñ ek ban oḌhe
surma.ī shaam ke darīche par
sāya-e-hijr hai kafan oḌhe
ūñghtī hai sabā fasīloñ par
ik kaḌī dhuup kī ghuTan oḌhe
mahv-e-raqsāñ hai dar-ba-dar 'rāshif'
gird sahrāoñ kī pavan oḌhe
manzil-e-karb ki thakan oDhe
so gae soKHta badan oDhe
bargah-e-junun-o-wahshat mein
KHamushi hai koi suKHan oDhe
baad-e-sarsar qaba-e-shabnam oDh
KHushbu-e-gul hai bankpan oDhe
raat ke sae mein lab-e-dariya
chand wahshat ka ek gahan oDhe
sabz mausam ki KHwab-gahon mein
zard patte hain ek ban oDhe
surmai sham ke dariche par
saya-e-hijr hai kafan oDhe
unghti hai saba fasilon par
ek kaDi dhup ki ghuTan oDhe
mahw-e-raqsan hai dar-ba-dar 'rashif'
gird sahraon ki pawan oDhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.