manzil-e-KHwab hai aur mahw-e-safar pani hai
manzil-e-ḳhvāb hai aur mahv-e-safar paanī hai
aañkh kyā kholīñ ki tā-hadd-e-nazar paanī hai
aa.ina hai to koī 'aks kahāñ hai is meñ
kyuuñ bahā kar nahīñ le jaatā agar paanī hai
ek ḳhvāhish ki jo sahrā-e-badan se niklī
khīñchtī hai usī jānib ko jidhar paanī hai
paañv uThte haiñ kisī mauj kī jānib lekin
rok letā hai kināra ki Thahar paanī hai
ab bhī bādal to barastā hai par us paar kahīñ
kisht-e-be-āb idhar aur idhar paanī hai
khīñchtā hai koī sayyāra tire pyāsoñ ko
us 'ilāqe meñ jahāñ ḳhāk-basar paanī hai
chashm-e-nam aur dil-e-labrez bahut haiñ mujh ko
ḳhitta-e-ḳhāk hai aur zād-e-safar paanī hai
manzil-e-KHwab hai aur mahw-e-safar pani hai
aankh kya kholin ki ta-hadd-e-nazar pani hai
aaina hai to koi 'aks kahan hai is mein
kyun baha kar nahin le jata agar pani hai
ek KHwahish ki jo sahra-e-badan se nikli
khinchti hai usi jaanib ko jidhar pani hai
panw uThte hain kisi mauj ki jaanib lekin
rok leta hai kinara ki Thahar pani hai
ab bhi baadal to barasta hai par us par kahin
kisht-e-be-ab idhar aur idhar pani hai
khinchta hai koi sayyara tere pyason ko
us 'ilaqe mein jahan KHak-basar pani hai
chashm-e-nam aur dil-e-labrez bahut hain mujh ko
KHitta-e-KHak hai aur zad-e-safar pani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.