manzil-e-marg mein jine ki ada rakhta hun
Interesting Fact
Auraq, November 1968
manzil-e-marg meñ jiine kī adā rakhtā huuñ
ya.anī har haal meñ andāz judā rakhtā huuñ
juz havā koī nahīñ mūnis-o-ġham-ḳhvār magar
rāt-bhar kamre kā darvāza khulā rakhtā huuñ
apnī fitrat ko sikhātā huuñ ġhulāmī terī
mauj-e-āzād ko zanjīr-ba-pā rakhtā huuñ
gum huuñ qatre kī tarah vaqt ke dariyā meñ magar
apnī hastī kā tilismāt judā rakhtā huuñ
zer-e-pā haiñ mire sahrāoñ ke jalte maidāñ
sar pe ālām ke sho.aloñ kī ridā rakhtā huuñ
bahr-e-āzār bhī hai hadd-e-nazar tak raqsāñ
jazba-e-shauq agar had se sivā rakhtā huuñ
merī fariyād pe kab bāb-e-ināyāt khulā
haa.e kis muñh se kahūñ maiñ bhī ḳhudā rakhtā huuñ
ġham na kar tū hai agar ḳhū-e-ḳharābī kā asiir
maiñ bhī ālām se paimān-e-vafā rakhtā huuñ
kyuuñ nahīñ aks-e-abad meñ bhī samundar jaisā
naqsh-bar-āb huuñ ḳhāliq se gilā rakhtā huuñ
'arsh' maiñ ḳhud huuñ sadā apne sukūñ kā dushman
dasht-e-ummīd bhī bar-dosh-e-havā rakhtā huuñ
manzil-e-marg mein jine ki ada rakhta hun
yani har haal mein andaz juda rakhta hun
juz hawa koi nahin munis-o-gham-KHwar magar
raat-bhar kamre ka darwaza khula rakhta hun
apni fitrat ko sikhata hun ghulami teri
mauj-e-azad ko zanjir-ba-pa rakhta hun
gum hun qatre ki tarah waqt ke dariya mein magar
apni hasti ka tilismat juda rakhta hun
zer-e-pa hain mere sahraon ke jalte maidan
sar pe aalam ke shoalon ki rida rakhta hun
bahr-e-azar bhi hai hadd-e-nazar tak raqsan
jazba-e-shauq agar had se siwa rakhta hun
meri fariyaad pe kab bab-e-inayat khula
hae kis munh se kahun main bhi KHuda rakhta hun
gham na kar tu hai agar KHu-e-KHarabi ka asir
main bhi aalam se paiman-e-wafa rakhta hun
kyun nahin aks-e-abad mein bhi samundar jaisa
naqsh-bar-ab hun KHaliq se gila rakhta hun
'arsh' main KHud hun sada apne sukun ka dushman
dasht-e-ummid bhi bar-dosh-e-hawa rakhta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.