manzil-e-mehr-o-wafa ki rahnumai ho gai
manzil-e-mehr-o-vafā kī rahnumā.ī ho ga.ī
jab milī tum se to ḳhud se āshnā.ī ho ga.ī
sāmne dil aa gayā to saare manzar jal uThe
ā.ina-ḳhāne meñ rasm-e-ḳhud-numā.ī ho ga.ī
maiñ 'urūj-e-bandagī ko naam de dūñgī agar
un ke dar tak mere sajdoñ kī rasā.ī ho ga.ī
ek lamhe ke liye gum ho agar un kā ḳhayāl
maiñ ye samjhūñgī ki mujh se bevafā.ī ho ga.ī
zo'm zāhid ko bahut thā pārsā.ī par magar
ik ishāre se shikast-e-pārsā.ī ho ga.ī
zulm bhī us ne kiyā aur ban gayā mazlūm bhī
kyā gavāh us shaḳhs kī saarī ḳhudā.ī ho ga.ī
ik milan-rut aa.ī thī mere liye lekin 'bahār'
is fazā meñ daf'atan shām-e-judā.ī ho ga.ī
manzil-e-mehr-o-wafa ki rahnumai ho gai
jab mili tum se to KHud se aashnai ho gai
samne dil aa gaya to sare manzar jal uThe
aaina-KHane mein rasm-e-KHud-numai ho gai
main 'uruj-e-bandagi ko nam de dungi agar
un ke dar tak mere sajdon ki rasai ho gai
ek lamhe ke liye gum ho agar un ka KHayal
main ye samjhungi ki mujh se bewafai ho gai
zo'm zahid ko bahut tha parsai par magar
ek ishaare se shikast-e-parsai ho gai
zulm bhi us ne kiya aur ban gaya mazlum bhi
kya gawah us shaKHs ki sari KHudai ho gai
ek milan-rut aai thi mere liye lekin 'bahaar'
is faza mein daf'atan sham-e-judai ho gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.