manzil-e-shauq ki har rahguzar ko dekha
manzil-e-shauq kī har rāhguzar ko dekhā
tujh ko dekhā tire andāz-e-nazar ko dekhā
ham ne vahshat ke har ik turfa asar ko dekhā
ḳhud ko dekhā kabhī ujḌe hue ghar ko dekhā
bārhā pās-e-adab se na ga.e us ke qarīb
bārhā duur se us rashk-e-qamar ko dekhā
hai fidā ḳhud mirī betāb-nigāhī mujh par
aaj kis shoḳh kī duzdīda nazar ko dekhā
hai koī baat to ai jazb-e-mohabbat varna
aaj be-sāḳhta kyoñ us ne idhar ko dekhā
tāb-e-dīdār ruḳh-e-yār kahāñ thī 'ahmar'
ham ne apne hī faqat zauq-e-nazar ko dekhā
manzil-e-shauq ki har rahguzar ko dekha
tujh ko dekha tere andaz-e-nazar ko dekha
hum ne wahshat ke har ek turfa asar ko dekha
KHud ko dekha kabhi ujDe hue ghar ko dekha
barha pas-e-adab se na gae us ke qarib
barha dur se us rashk-e-qamar ko dekha
hai fida KHud meri betab-nigahi mujh par
aaj kis shoKH ki duzdida nazar ko dekha
hai koi baat to ai jazb-e-mohabbat warna
aaj be-saKHta kyon us ne idhar ko dekha
tab-e-didar ruKH-e-yar kahan thi 'ahmar'
hum ne apne hi faqat zauq-e-nazar ko dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.