manzil ho koi zauq-e-safar apni jagah hai
manzil ho koī zauq-e-safar apnī jagah hai
ham apnī jagah rāhguzar apnī jagah hai
ye bhī to ġhanīmat hai ki ham zinda haiñ ab tak
is shahr-e-fasādāt meñ ghar apnī jagah hai
tanqīd kā darvāza bahar-hāl khulā hai
har da.avā-e-arbāb-e-hunar apnī jagah hai
har bazm meñ lāzim hī sahī baiThnā uThnā
is kā bhī ta.ayyun ho kidhar apnī jagah hai
kyā faisla kar jā.egā achchhe kā bure kā
har shaḳhs kā meyār-e-nazar apnī jagah hai
aa jaa.eñ kisī moḌ pe hālāt bashar ke
kuchh bhī sahī ehsās magar apnī jagah hai
ham apnī ravish ko kabhī 'iqbāl' na badleñ
nekī kā hai jo ajr magar apnī jagah hai
manzil ho koi zauq-e-safar apni jagah hai
hum apni jagah rahguzar apni jagah hai
ye bhi to ghanimat hai ki hum zinda hain ab tak
is shahr-e-fasadat mein ghar apni jagah hai
tanqid ka darwaza bahar-haal khula hai
har dawa-e-arbab-e-hunar apni jagah hai
har bazm mein lazim hi sahi baiThna uThna
is ka bhi tayyun ho kidhar apni jagah hai
kya faisla kar jaega achchhe ka bure ka
har shaKHs ka meyar-e-nazar apni jagah hai
aa jaen kisi moD pe haalat bashar ke
kuchh bhi sahi ehsas magar apni jagah hai
hum apni rawish ko kabhi 'iqbaal' na badlen
neki ka hai jo ajr magar apni jagah hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.