manzil ka yun pata na sabhi ko bataiye
manzil kā yuuñ pata na sabhī ko batā.iye
jis par chale hoñ aap vo rasta dikhā.iye
ehsās kī zamīn pe ḳhushiyoñ ke rang hoñ
tasvīr jab banā.eñ mukammal banā.iye
kab tak udaas rah ke guzāreñge raat din
hañsnā agar muhāl hai to muskurā.iye
patthar pe ye likhā hai adāvat harām hai
ye baat bhī likhī hai mohabbat baḌhā.iye
gar dekhnā hai kitnā havāoñ meñ zor hai
ūñchī chhatoñ pe jā ke patañgeñ uḌā.iye
kyuuñ har kisī ko aap sunāte haiñ shā.erī
jo bhī suḳhan-shanās haiñ un ko sunā.iye
dil kā mizāj dekh ke dil par yaqīñ nahīñ
behtar hai aap ruuh se rishta nibhā.iye
maiñ ne to sāf-goī se kah dī hai apnī baat
ab jo nikālnā hai vo matlab nikāliye
manzil ka yun pata na sabhi ko bataiye
jis par chale hon aap wo rasta dikhaiye
ehsas ki zamin pe KHushiyon ke rang hon
taswir jab banaen mukammal banaiye
kab tak udas rah ke guzarenge raat din
hansna agar muhaal hai to muskuraiye
patthar pe ye likha hai adawat haram hai
ye baat bhi likhi hai mohabbat baDhaiye
gar dekhna hai kitna hawaon mein zor hai
unchi chhaton pe ja ke patangen uDaiye
kyun har kisi ko aap sunate hain shaeri
jo bhi suKHan-shanas hain un ko sunaiye
dil ka mizaj dekh ke dil par yaqin nahin
behtar hai aap ruh se rishta nibhaiye
main ne to saf-goi se kah di hai apni baat
ab jo nikalna hai wo matlab nikaliye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.