manzil ki pahchan nahin hai
manzil kī pahchān nahīñ hai
rahbar par īmān nahīñ hai
qarye qarye DhūñD chukā huuñ
duniyā meñ insān nahīñ hai
terī chāhat dil kī tamanna
tujh par kuchh ehsān nahīñ hai
ḳhūn-e-jigar aur chāk-garebāñ
ishq koī āsān nahīñ hai
'aḳhtar' pyaar meñ luTne vaalā
itnā bhī nādān nahīñ hai
manzil ki pahchan nahin hai
rahbar par iman nahin hai
qarye qarye DhunD chuka hun
duniya mein insan nahin hai
teri chahat dil ki tamanna
tujh par kuchh ehsan nahin hai
KHun-e-jigar aur chaak-gareban
ishq koi aasan nahin hai
'aKHtar' pyar mein luTne wala
itna bhi nadan nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.