manzil pahunch gaya hun main rasta kiye baghair
manzil pahuñch gayā huuñ maiñ rasta kiye baġhair
rusvā kiyā hai us ko tamāshā kiye baġhair
uupar se apnī pyaas bujhātā rahā huuñ maiñ
paanī piyā gilās ko jhūTā kiye baġhair
aatā hai is adā pe mujhe pyaar vo mirī
har baat maan letā hai ġhussa kiye baġhair
vo aisī raushnī hai ki jab bhī mujhe mile
khultī nahīñ hai mujh pe añdherā kiye baġhair
ik shaah baaj detā hai duuje ko vaise hī
vo merī dastaras meñ hai qabza kiye baġhair
us chor par nazar maiñ rakhūñ bhī to kis liye
jo haath aa gayā mire pīchhā kiye baġhair
ab dil kī raushnī hī karegī karishma kuchh
ḳhud ko ujālā karnā hai sho.ala kiye baġhair
manzil pahunch gaya hun main rasta kiye baghair
ruswa kiya hai us ko tamasha kiye baghair
upar se apni pyas bujhata raha hun main
pani piya gilas ko jhuTa kiye baghair
aata hai is ada pe mujhe pyar wo meri
har baat man leta hai ghussa kiye baghair
wo aisi raushni hai ki jab bhi mujhe mile
khulti nahin hai mujh pe andhera kiye baghair
ek shah baj deta hai duje ko waise hi
wo meri dastaras mein hai qabza kiye baghair
us chor par nazar main rakhun bhi to kis liye
jo hath aa gaya mere pichha kiye baghair
ab dil ki raushni hi karegi karishma kuchh
KHud ko ujala karna hai shoala kiye baghair
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.