manzil pe pahunch kar bhi manzil nahin pate ho
![Zahoor Ambar Quraishi Zahoor Ambar Quraishi](https://rekhta.pc.cdn.bitgravity.com/Images/Shayar/round/zahoor-ambar-quraishi.png)
manzil pe pahunch kar bhi manzil nahin pate ho
Zahoor Ambar Quraishi
MORE BYZahoor Ambar Quraishi
manzil pe pahuñch kar bhī manzil nahīñ paate ho
tum kaise musāfir ho rukte ho na jaate ho
aa.e na ayādat ko jab saañs thī kuchh baaqī
marne pe aqīdat ke kyoñ phuul chaḌhāte ho
pahle mirī nafrat par mā.il-ba-karam the tum
ab merī mohabbat par barham nazar aate ho
mai-noshī kā phir mujh par ilzām na aa jaa.e
āñkhoñ meñ liye mastī kyoñ sāmne aate ho
'ambar' to azal se hī rusvā-e-zamāna hai
kyoñ aur use apnī nazroñ se girāte ho
manzil pe pahunch kar bhi manzil nahin pate ho
tum kaise musafir ho rukte ho na jate ho
aae na ayaadat ko jab sans thi kuchh baqi
marne pe aqidat ke kyon phul chaDhate ho
pahle meri nafrat par mail-ba-karam the tum
ab meri mohabbat par barham nazar aate ho
mai-noshi ka phir mujh par ilzam na aa jae
aankhon mein liye masti kyon samne aate ho
'ambar' to azal se hi ruswa-e-zamana hai
kyon aur use apni nazron se giraate ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.