manzil pe pahunchne ko taron pe nazar rakhte
manzil pe pahuñchne ko tāroñ pe nazar rakhte
jab shahr basāyā thā rastoñ kī ḳhabar rakhte
kahte ho añdherā hai koī nahīñ chehra hai
īmān yaqīñ hotā āñkhoñ meñ sahar rakhte
ilzām-tarāshī se ab kuchh bhī nahīñ hāsil
jab aa.e ġhanīm andar laḌne kā hunar rakhte
is qaht-e-rijālāñ meñ qaa.id bhī nahīñ milte
jo qāfla-e-dil ko mā.il-ba-safar rakhte
ham ḳhaak ke zarroñ kī sūrat meñ pareshāñ haiñ
tāqat ko jam.a karte to barq-o-sharar rakhte
ham sab sag-e-māya haiñ haDDī pe jhapaTte haiñ
aise meñ kisī par kyā ab ḳhaak asar rakhte
sahrā kī tapish har sū kargas kā baserā hai
har shai jo jalā dī hai kuchh baaqī shajar rakhte
ik marg-e-musalsal hai afkār haiñ yaḳh-basta
sahrā kī harārat ko sho.aloñ sā jigar rakhte
manzil pe pahunchne ko taron pe nazar rakhte
jab shahr basaya tha raston ki KHabar rakhte
kahte ho andhera hai koi nahin chehra hai
iman yaqin hota aankhon mein sahar rakhte
ilzam-tarashi se ab kuchh bhi nahin hasil
jab aae ghanim andar laDne ka hunar rakhte
is qaht-e-rijalan mein qaid bhi nahin milte
jo qafla-e-dil ko mail-ba-safar rakhte
hum KHak ke zarron ki surat mein pareshan hain
taqat ko jama karte to barq-o-sharar rakhte
hum sab sag-e-maya hain haDDi pe jhapaTte hain
aise mein kisi par kya ab KHak asar rakhte
sahra ki tapish har su kargas ka basera hai
har shai jo jala di hai kuchh baqi shajar rakhte
ek marg-e-musalsal hai afkar hain yaKH-basta
sahra ki hararat ko shoalon sa jigar rakhte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.