manzil pe pahunchte hi sitam TuT rahe hain
manzil pe pahuñchte hī sitam TuuT rahe haiñ
ai zabt-e-fuġhāñ dekh ki ham TuuT rahe haiñ
kyuuñ ziist ko alfāz-o-ma.ānī nahīñ milte
kyuuñ safha-e-hastī pe qalam TuuT rahe haiñ
is daur-e-pur-āshob meñ ab apne hī hāthoñ
apne hī tarāshīda sanam TuuT rahe haiñ
kar dekheñ kuchh apnī hī vafāoñ meñ izāfa
ham un kī jafāoñ se to kam TuuT rahe haiñ
manzil pe pahunchte hi sitam TuT rahe hain
ai zabt-e-fughan dekh ki hum TuT rahe hain
kyun zist ko alfaz-o-maani nahin milte
kyun safha-e-hasti pe qalam TuT rahe hain
is daur-e-pur-ashob mein ab apne hi hathon
apne hi tarashida sanam TuT rahe hain
kar dekhen kuchh apni hi wafaon mein izafa
hum un ki jafaon se to kam TuT rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.