manzil qarib rah bhi aasan ho Dar na ho
manzil qarib rah bhi aasan ho Dar na ho
Syed Tanvir Raza Abidi
MORE BYSyed Tanvir Raza Abidi
manzil qarīb raah bhī āsāñ ho Dar na ho
kyā lutf us safar meñ ki jo pur-ḳhatar na ho
maiñ bas ye chāhtā huuñ ki us kī nigāh meñ
koī bhī shaḳhs mere sivā mo'atabar na ho
maiñ huuñ siyāhī-e-shab-e-hijrāñ meñ pur-sukūñ
ai vaqt tham ḳhayāl rahe ab sahar na ho
ik samt bevafā.ī tirī ik taraf hai tū
dil kashmakash meñ hai ki kidhar ho kidhar na ho
terī duā ki tark-e-ta.alluq ho anqarīb
merī duā ki terī duā meñ asar na ho
daur-e-bahār jaa.e to phir zindagī bhī jaa.e
mere chaman se bād-e-ḳhizāñ kā guzar na ho
kyoñ zindagī maiñ nazr karūñ intizār ke
ho intizār-e-yār magar is qadar na ho
sīñchā hai is ko 'mīr' ne 'ġhālib' ne umr bhar
mumkin nahīñ zamīn-e-suḳhan bārvar na ho
'tanvīr' aur mashq-e-suḳhan kar na haar maan
ahl-e-suḳhan meñ ab bhī agar nāmvar na ho
manzil qarib rah bhi aasan ho Dar na ho
kya lutf us safar mein ki jo pur-KHatar na ho
main bas ye chahta hun ki us ki nigah mein
koi bhi shaKHs mere siwa mo'atabar na ho
main hun siyahi-e-shab-e-hijran mein pur-sukun
ai waqt tham KHayal rahe ab sahar na ho
ek samt bewafai teri ek taraf hai tu
dil kashmakash mein hai ki kidhar ho kidhar na ho
teri dua ki tark-e-talluq ho anqarib
meri dua ki teri dua mein asar na ho
daur-e-bahaar jae to phir zindagi bhi jae
mere chaman se baad-e-KHizan ka guzar na ho
kyon zindagi main nazr karun intizar ke
ho intizar-e-yar magar is qadar na ho
sincha hai is ko 'mir' ne 'ghaalib' ne umr bhar
mumkin nahin zamin-e-suKHan barwar na ho
'tanwir' aur mashq-e-suKHan kar na haar man
ahl-e-suKHan mein ab bhi agar namwar na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.