manzil thi ek taraf to safar dusri taraf
manzil thī ik taraf to safar dūsrī taraf
ik samt pair uThe the nazar dūsrī taraf
ik samt khīñchtī hai mirī zindagī mujhe
le jaatā hai junūn magar dūsrī taraf
āvārgī kā lutf to be-mā.egī meñ hai
chhoḌ aaya huuñ maiñ raḳht-e-safar dūsrī taraf
ye ahd-e-nā-murād bhī kyā shai hai merī jaañ
dil ek taraf hai to nazar dūsrī taraf
manzil thi ek taraf to safar dusri taraf
ek samt pair uThe the nazar dusri taraf
ek samt khinchti hai meri zindagi mujhe
le jata hai junun magar dusri taraf
aawargi ka lutf to be-maegi mein hai
chhoD aaya hun main raKHt-e-safar dusri taraf
ye ahd-e-na-murad bhi kya shai hai meri jaan
dil ek taraf hai to nazar dusri taraf
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.