manzilen dur hain aur aabla-pai apni
manzileñ duur haiñ aur ābla-pā.ī apnī
kaise mumkin ho tire shahr rasā.ī apnī
maiñ tirā naam qabīle meñ jo letā huuñ kabhī
har koī jhāḌne lagtā hai ḳhudā.ī apnī
ek vo thā ki vo jirge meñ bhī ḳhāmosh na thā
ek ham the ki na de paa.e safā.ī apnī
ab to ye haq bhī nahīñ hai use chāhā jaa.e
ab to ye ziist bhī lagtī hai parā.ī apnī
'ishq kahte haiñ jise hai dar-e-yazdāñ kā charāġh
aur isī 'ishq meñ duniyā hai samā.ī apnī
mil ga.ī hijr kī sauġhāt hameñ bhī āḳhir
jaane ab kaise kaTegī mire bhaa.ī apnī
ye mohabbat hai mohabbat hai mohabbat jo 'samar'
'umr-bhar kī hai yahī nek kamā.ī apnī
manzilen dur hain aur aabla-pai apni
kaise mumkin ho tere shahr rasai apni
main tera nam qabile mein jo leta hun kabhi
har koi jhaDne lagta hai KHudai apni
ek wo tha ki wo jirge mein bhi KHamosh na tha
ek hum the ki na de pae safai apni
ab to ye haq bhi nahin hai use chaha jae
ab to ye zist bhi lagti hai parai apni
'ishq kahte hain jise hai dar-e-yazdan ka charagh
aur isi 'ishq mein duniya hai samai apni
mil gai hijr ki saughat hamein bhi aaKHir
jaane ab kaise kaTegi mere bhai apni
ye mohabbat hai mohabbat hai mohabbat jo 'samar'
'umr-bhar ki hai yahi nek kamai apni
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.