manzilen nahin chaltin fasla nahin chalta
manzileñ nahīñ chaltīñ fāsla nahīñ chaltā
rāhgīr chalte haiñ rāsta nahīñ chaltā
tāqatoñ ke ghere haiñ himmatoñ kī ik had hai
koī vaqt ke aage hausla nahīñ chaltā
ik udaas hote haiñ sab udaas hote haiñ
aur is udāsī kā kuchh pata nahīñ chaltā
jo bhī hai pahuñchtā hai Duub kar kināroñ tak
ishq ke samundar meñ tairnā nahīñ chaltā
ḳhud-baḳhud gulistāñ meñ har kalī sañvartī hai
is nigār-ḳhāne meñ aa.ina nahīñ chaltā
sirf rāhbar 'tābāñ' rāsta dikhātā hai
shauq le ke chaltā hai rahnumā nahīñ chaltā
manzilen nahin chaltin fasla nahin chalta
rahgir chalte hain rasta nahin chalta
taqaton ke ghere hain himmaton ki ek had hai
koi waqt ke aage hausla nahin chalta
ek udas hote hain sab udas hote hain
aur is udasi ka kuchh pata nahin chalta
jo bhi hai pahunchta hai Dub kar kinaron tak
ishq ke samundar mein tairna nahin chalta
KHud-baKHud gulistan mein har kali sanwarti hai
is nigar-KHane mein aaina nahin chalta
sirf rahbar 'taban' rasta dikhata hai
shauq le ke chalta hai rahnuma nahin chalta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.