manzilon ka nishan kab dega
manziloñ kā nishān kab degā
aah ko āsmān kab degā
azmatoñ kā nishān kab degā
mere haq meñ bayān kab degā
zulm to be-zabān hai lekin
zaḳhm ko tū zabān kab degā
sub.h sajde sameTe soī hai
par añdherā azaan kab degā
in ThiThurte hue ujāloñ ko
dhuup sā sā.ebān kab degā
mauj maahī nigal na jaa.e kahīñ
nuuh sā nigahbān kab degā
mujh ko jañgal diyā hai jiine ko
buz-diloñ ko machān kab degā
bas yahī pūchhnā hai us se 'nizām'
par diye haiñ uḌaan kab degā
manzilon ka nishan kab dega
aah ko aasman kab dega
azmaton ka nishan kab dega
mere haq mein bayan kab dega
zulm to be-zaban hai lekin
zaKHm ko tu zaban kab dega
subh sajde sameTe soi hai
par andhera azan kab dega
in ThiThurte hue ujalon ko
dhup sa saeban kab dega
mauj mahi nigal na jae kahin
nuh sa nigahban kab dega
mujh ko jangal diya hai jine ko
buz-dilon ko machan kab dega
bas yahi puchhna hai us se 'nizam'
par diye hain uDan kab dega
- Book : Rasta Ye Kahin Nahin Jata (Pg. 91)
- Author : Sheen Kaaf Nizam
- Publication : Vagdevi Publication (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.